Hello.... Doston
Main.... Mrinal Kumar Dass Rawatbhata ka hi hissa hun, mera saara bachpan Phase1.. Phase2... main hi beeta hai,mujhe aaj bhi yaad hai...apna HWP waala school aaj bhi mujhe yaad hai... Resses mai....HWP shopping centre Gopal ke SAMOSE Laxmi Talkis..aaj bhi mujhe yaad hai, humaare pujya teachers... Mr M K Sharma, Mr Taneja, Mr S L Chabbra, Mrs A Singh, Mrs Sethiya, Mrs V Chopra.....aur bhina jaane kitne teachers thy....jinnke maarg darrshan par chal kar aaj main iss mukaam par hun ki apni zindagi se bahot khush hun.. Abhi main Saudi Arabia mai enconpany jisska naam hai.. National Contracting Company Ltd main Sr Superintendent Quality Control Deppt main kaam kar raha hun, yahaan mujhe kareeg 14 yrs hone ko aaye hain, waise main rahane waala Jamshedpur jo ki abhi Jharkhand main hai yahin ka rahane waala hun... kareeb 27 yrs ho gaye hain mujhe Rawatbhata ko chode hue.. lekin aaj bhi mere Dil main Rawatbhata basa hua hai..aur humesha basa rahega...
main Dhanyawaad karta hun Facebook ka jiske dwaara aah 27 yrs ke baad mujhe mere bachpan ke wo sab saathi mill gaye jinnke liye main sapana dekha karrta tha ki.... Hey Prabhu ...ek baar mujhe mere bachpan ke saathiyon se milla de....aur God ne meri sun Li...aur aaj mai apne bachpan ke sab saathiyon se fir se jud gaya hun.
Rawatbhata ek aise jagahhai jahaan har praant ka innsan basa hua hai....aur chaahe wo South ka ya North ka hai....magar Rawatbhata ka ho kar rah gaya hai..Ye mera msg jo bhi mera bhaai ya bahan pad rahe hon... Ek baar jarrur mujhe yaad kar lena.. mera mail ID hai mrinal_dass1966@yahoo.com
Mobile number hai... 00966501194144
Sab Rawatbhata waasiyon ko mera Pyar bhara Namasskaar